जीवन (Life) (Zindagi)

Waise to main ye devanagar lipi me bhi likh sakta hu, kintu usme samay zyada vyatit ho jayega to main Roman lipi ka prayog kar raha hun. Agar kisi ko isse apatti ho to apne iss nadan bhai ko kshama karne ki kripa karein.
Nahin, main yaha jeevan ka matlab nahin batane ja raha. Jeevan kya hai, jeevan kyu hai, jeevan ka kya uddeshya hai, ityadi sawalon k jawab main nahin de sakta, kyuki ye vyaktigat adhar par bhinn ho sakta hai. Main to sirf unn bato k bare me bat karna chahta hu jo jivan ko jivan banate hain.
Mujhe lagta hai ki jivan ka ek arth nahin, iski ek paribhasha nahin, iska ek uddeshya nahin, iske prashnon ka ek uttar nahin, kintu main ye janta hun ki inn sabhi sawalon k jawab hum sabhi ko pata hain, jo hum chahte hain wo ye ki koi aur wo bol de jo hum sunna chahte hain. Jeevan bahut kuch hai, kintu unke alawa ye ek yatra hai, khud ko khojne ki, jeevan k mulyo ko samajhne ki, jitne ki ,kintu jyada mahatvapurna harne ki aur phir us har ko swikar karke use jit me badalne ki. Jeevan sirf wo nahin jo hum dekhna chahte hain, jo hum sunna chahte hain, jeevan wo hai jo hum sabke sath batna chahte hain, jeevan wo hai jiski khushi sirf hamein hi nahin apitu uss har vyakti ko ho jo use mahsus kar sake.
Main kaun hota hun apko kuch bhi batane wala, ap gyani hain, ap vishwa vijeta hain, ap bhagwan hain. Apne andar jhankie aur dekhiye, apko sabkuch dikhega. Jeevan ek darshan hai, ek sarheen sansar ka saransh, jo na to shuru hone pe kuch hai na khatma hone par, lekin in dono k bich me hi wo sabkuch hai.
Hai Bhagwan k ansh, hai priya manushya, main asha karta hu ki apki yatra sukhmaya hogi aur ap ek din ek behtar vyakti banenge, shayad wo jo ap banna chahte hain.

13 Likes

Bhai, maa kasam padh ke maza aa gaya…
Adbudh, Adbudh, Adbudh!

2 Likes

Dhanyawad bhai. Mujhe Hindi section k bare me pata nahin tha, aj hi dekha to likhne ki iccha hui. :slight_smile:

1 Like

Its ok bro. I cannot speak a word of Telugu and probably won’t understand most of it. So you are already better than me. :slight_smile: And since I live in a Hindi speaking city, so my Hindi is kind of archaic. Its not intentional tbh.

1 Like

Bhai aise achi achi bate likhte raho makasam writer ban jaoge ek din

3 Likes

Hahaha, bhai main pehle likhta tha Hindi aur English donon me. Meri kuch kavitayein chapi bhi thi idhar udhar kuch patrikaon me, aur English ki do kavitayein, ek “Mother” aur ek “Knocked down” readers digest k ek khas ank me chapi bhi thi. Lekin sach kahun to usse mera judav sansar se judne k bajaye tuta hi kyuki tabhi mujhe pata chala ki hamare vichar, hamari bhavnayein dusron k liye sirf do chizein ho sakti hain- 1. Kamai ka jariya . 2. Manoranjan ka tarika jise sunke kucch log wah wah karenge bas. Sacchi khushi tab milti hai jab hum kuch karte hain to usse hame kisi bhautik apeksha nahin hoti, bas wo atma ki kucch batein hoti hain jo chitt ko shant karti hain.

3 Likes

देवनागरी ki practice kar skte ho भाई
Typing speed badh jaegi
मै भी करता हूँ

2 Likes

Adbhut,apki sochne ki tarika, iss sansar ke liye kuch naya karne ki bhavna!!! Apne abhi iss me join kiya lekin kuch hi din me hamara dil jeet liya…

2 Likes

Accha bhai. Karta hun. Devanagari me lambe posts likhne me samay zyada lagta hai, isiliye roman me likha yaha pe.

Are @_TIGER bhai, ye ap logon ka badappan hai. Main koshish karunga ki main kucch kar paun, halanki uske liye bahut jaruri hai ki main iss ashleelta aur avsad k kuchakra se bahar nikal saku.

3 Likes

Aur bhaiyon kya hal hai? Idhar thand thodi badh gayi hai, aur smog bhi. Kisi bhi chiz par focus karne me dikkat ho rahi hai, aur har failure k sath pornography dekhne ki iccha bhi prabal ho jati hai. Stithi bahut acchi nahin hai. Phir bhi, lage hain.

3 Likes

Aapko koi Dharmik Pustak (Geeta, Quran, Bible) padhni chahiye, aisa karne se sharir me sakaratmakta ka pravesh hoga. Ye jivan ki parisksha hai agar isme safalta prapt karli jaye to aage koi bhi baadha hame rok nahi payegi. Jindagi me addchane, mushkile, utaar-chadhaav to aate rahenge, agar hum inka saamna nahi kar sakte to kabhi safal nahi ho sakte. Bhagwaan aapko apke shangharshon se ladne ki shakti aur himmat de :pray:

2 Likes

Aur bhaiyon kya hal hai? Apni matribhasha me bat kiye kafi din ho gaye. Ummeed karta hun ki ap sabhi apne prayatnon me safal hon.
Jai Bajrang Bali.

2 Likes

Kisi bhi sthiti me. Agar hum kisi bhi kam ko karte hain, lekin use nihswarth bhav se bina kisi apeksha k karte hain to wo chizein humein prasannata deti hain. Lekin agar hum usi karya ko kisi apeksha k sath karein, kintu humein apeksha se kam mile to aisi chizein hume prasannata se zyada dukh deti hain.
Ye apekshayein hi hain jo sansarik bhavon ko janm deti hain jaise ki iccha, kam, lobh, moh, dukh, …ityadi.
Main ummeed karta hun, main apko apni bat samjha paya bhai.

3 Likes

भाई SwiftKey keyboard का प्रयोग कर सकते हो अगर मोबाइल से टाइप करना हो तो, Google keyboard से कहीं ज्यादा अच्छा है

हिन्दी ही लिखनी है तो देवनागरी लिपि मे पढ़ने मे आसानी होती है

2 Likes