Hastmaithun_Mukt_Jivan

Me 7 sal me 3000 se jyada baar hastmaithun kar chuka hu. ( :face_with_head_bandage::dizzy_face::pensive: )
Me ab aur hastmaithun nahi Karna chahta.
Apni jindagi ko “muth-mukt” karne ka samay aa gaya hai.
Hastmaithun ko chhodne ke liye mujhe ab kuchh nayi yukti apnani padegi.
Me bhagvan se prarthna karta hu, ki jo bhi “hastmaithun aur porn” ko chhodna chahta hai, bhagvan uska pal-pal, har-pal sath de.
Ichhasakti, Aatm-Niyantran, Aatm-Anushashan, driddh-Nishchay aur bhagvan ki kripa se Me aur harkoi is “hastmaithun aur porn” naamak mahamari se mukt ho sakte hai.
Me apni hastmaithun-mukt Yatraa ko aaj se shuru kar raha hu.

4 Likes

Sahi disha pe aap ja rhe ho… bhagwan ke age khud ko samarpit kar dijiye sare maya se aap mukt ho jayenge …srimad Bhagavad Geeta ka Pathan jarur kijiye …isse kaam basna se mukti hone ka rasta bhi milega…lekin yaad rakhiye sirf padhne se kuch nhi hoga usse apni zindegi me apnnane ki kosish jari rakhiye… :fire::fire::fire::muscle::muscle: Brahmacharya param balam

4 Likes

Aapki bahumuly Salah ke liye khub khub dhabyavad! Me bhagvad Gita ka pathan aur aachran jarur Karunga.

4 Likes

Kaash “Hastmaithun mukt jivan” itna asaan hota Jitna likhna asaan hai. Yah Kathin nahi balki asambhav ke samaan hai. Ek baar waha hath chala gaya to jab tak dam nahi nikal jata tab tak hame nichodta rahta hai.
Isliye Hame poora dam lagake ke iske virodh me khada hona padega tabhi thodi bahut jawani me jeet ki sambhavana hai nahi to bahut kam hi sambhavana hai. Waise bhudape me jab baal safed pad jayenge to hath bhi kamjor pad hi jate hai.
Is jawani ko bachane ke liye iski poori taakat ka upyog kar is hastmaithun ko aaj hi khatm Karna hoga. Aur Jawani ki taakat hai ek nishchay lene ki taakat jo lohe ki tarah dridh aur majboot ho aur tootna lagbhag asambhav ho.
He ishwar humari madad Kijiye.

5 Likes

Idk ehy but I find your username hilarious
Muth mukt jivan :rofl::rofl::rofl::joy::joy::joy::joy::joy::joy::joy::joy::joy::joy:

4 Likes

All the best for your @Muth_Mukt_Jivan .

4 Likes

This topic was automatically closed 30 days after the last reply. New replies are no longer allowed.